Video

Audio

Singer: Muhammad Samie

Composition: Muhammad Samie

Poet: Muhammad Samie

Music: Jay Ali

Release Date: April 18, 2020


Lyrics:

Tasveer-e-kaamil, sabr-o-raza ki
Roo-e-mubarik, rehmat Khuda ki
Rab ki gawaahi, sirr-e-Ilahi
Zaw-e-lafani arz-o-samaa ki

Salle Alla Nabiyena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Nabiena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Shafiena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Nabiena Salle Alla Muhammadin

Jumbish-e-kaakul, baad-e-bahaari
Loh-e-peshaani, noor ki dhaari
Chashma-e-jaari khaassa-e-baari
Barq sa ruff ruff un ki savari
Guft-e-muqaddas, misl-e-gul-afshaan
Aariz-e-roshan, maah-e-darakhshaan

Salle Alla Nabiena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Shafiena Salle Alla Muhammadin

Sumbul-e-pechaan zulf-e-mo’ambar
Haath kaa takiya khaak ka bistar
Khamdaar abroo, taaq-e-haram hai
Yaksan hi Aaqa S.A.W.W. ka sab par karam hai
Loh-e-Qura’ani rukh se ayaan hai
Zair-e-qadam un ke kul kehkashaan hai

Salle Alla Nabiena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Shafiena Salle Alla Muhammadin

Qura’an aur ehl-e-bait-e-Muhammad (S.A.W.W.)
Baad az Risaalat (S.A.W.W.), noor-e-Hidayat
Deen ki ragon mein in ka lahu hai
In ki sada bus Haq Shaanahu hai

Salle Alla Nabiena Salle Alla Muhammadin
Salle Alla Shafiena Salle Alla Muhammadin

Share This Spell , Choose Your Platform!